Title:
Mein Nay Kabhi
Album: Inquilaab
Poet: Sabir Zafar
Music: Salman Ahmad
Kis soch main doobi zindagi kis yaad main khoay raastay
Kabhi tujh ko paanay ki justajo kabhi tujh ko khonay kay
gham mujhey
Yeh paana khona kuch nahin hona anhona kuch nahin
Sub chaon dhoop kay khwab hain tujhey milnay ko betaab
hain
Jee kay bhi dekha marr kay bhi dekha
Phir bhi main tanha raha
Mein nay, tujh ko kabhi dekha bhi nahin
Ho aisa, nahin keh koi nata bhi nahin
Rangon ko dekha hai tasweerain dekheen nahin
Khwaabon ko dekha hai tabeerain dekheen nahin
Kahin dhul uratay humsafar kahin khaak main mil kar reh
gaey
Koi baat na mujh say keh sakay meray hont hi sookh kar
reh gaey
Unhain mera piyaar na mil saka mujhe tera piyaar na mil
saka
Koi hoon gee teri majboorian jo ab tak hain yeh doorian
Jee kay bhi dekha marr kay bhi dekha
Phir bhi main tanha raha
Mein nay, tujh ko kabhi dekha bhi nahin
Ho aisa, nahin keh koi nata bhi nahin
Rangon ko dekha hai tasweerain dekheen nahin
Khwaabon ko dekha hai tabeerain dekheen nahin
Mein nay, tujh ko kabhi dekha bhi
nahin
Jeena, terey bin kabhi chaaha bhi nahin
Rangon ko dekha hai tasweerain
dekheen nahin
Khwaabon ko dekha hai tabeerain dekheen nahin
Mein nay, tujh ko kabhi dekha bhi
nahin
Ho aisa, nahin keh koi nata bhi nahin
Rangon ko
dekha hai tasweerain dekheen nahin
Khwaabon ko dekha hai tabeerain dekheen nahin
Mein nay,
tujh ko kabhi dekha bhi nahin
Ho aisa, nahin keh koi nata bhi nahin